Home
Kitne Yatna Shivir: Samaj Ke Hashiye Ki Kahaniyan
Barnes and Noble
Kitne Yatna Shivir: Samaj Ke Hashiye Ki Kahaniyan
Current price: $12.99
Barnes and Noble
Kitne Yatna Shivir: Samaj Ke Hashiye Ki Kahaniyan
Current price: $12.99
Size: OS
Loading Inventory...
*Product information may vary - to confirm product availability, pricing, shipping and return information please contact Barnes and Noble
Samaj ke kamzor vyakti ke sanghasrh kaa chitran karti marmik kahaniyan. Kabr ki zamin (Jesinta kerketta) me jab ek adivasi yuvti ke bachche ke kriya-karm ki baari aati hai, to dharm ke thekedaar uth khade hote hain... Gulabi Ration card (Vandana Shukla) me gharib adivasiyon ke ek gaon me ek din ghoshna hoti hai ki un sabko makaan diya jayega.Unke sapne pankh farfarane lagte hain.Lekin pata chalta hai ki makaan banaane ki pariyojna par rok lag gayee hai.Uske baad jo hota hai, use dekh adhikaarion ke hosh ud jaate hain.... Koyla chor( Neeraj neer) me ek naujawan apni patni ke kahne par anya kayi doston ki tarah ek bekaar pade khadaan se koyla nikaalkar use bechne ke awaidh dhande me shamil hota hai, magar.... Meena bazar (Vaibhav singh) ek adher salesman par hai, jo saari ke ek showroom me kaam karta hai. Showroom ke boodhe maalik ki maut ke baad uskaa ladka cctv camera lagwaa deta hai. Yeh camera, salesman ki zindgi me toofaan macha deta hai... gyaarah udiymaan kathakaar-Jesinta kerketta, kamlesh, Vandana shukla, Neeraj neer, Vaibhav singh, Hari mridul, Yusuf kirmani, Alok kumar mishra, Vijay kumar tiwary, Dr. Ayesh Aarfin, Ram nagina maurya-Jinki kahaniyon kaa chayan kiyaa hai kavi, kathakar, natakkaar aur anuvadak Sanjay kundan ne.